ae alam wale (4)
uncha apna alam (2)
jab tak bhi hain sino dam
uncha rahe apna alam
sajta rahe badhta rahe uncha rahe alam
abbas ka alam
alam ke saye main
alam ke saye main (2)
abbas ke hubdar baithe hain (3)
kahin Salman o Buzar (2)
aur kahin Mukhtar baithe hain.....
zaba'n main aaj meri aik anokhi si ravani hain
bohat nazdeek shayad (2)
Meesum-e-Tammar baithe hain....
padar se muthiya'n Abbas ki jhule main
kehti hai (2)
abhi se karbala jane ko ham tayyar baithe hain....
mahe shaban hain maula pila jame wila hamko (2)
mere saqi teri (2)
chaukhat pe sab maikhar baithe hain....
alam bardariye Abbas ki taqreeb jaari hain (2)
abu talib ke ghar sare alam bardar baithe hain.....
gayi'n hain sham-o-kufa dekhne abbas ki behne (2)
kaha'n chup kar (2) hamare sher se far'rar baithe hain....
Ali Asghar ka sadqa hain dilo main ehel e batil kain (2)
TAKALLUM teer ki (2)
surat tere ash'har baithe hain........